ek din dukh ki shiddat kam pad jati hai kaisi bhi ho wahshat kam pad jati hai sahra mein aa nikle to malum hua tanhai ko wusat kam pad jati hai apne aap se milta hun main fursat mein aur phir mujh ko fursat kam pad jati hai kuchh aisi bhi dil ki baaten hoti hain jin baaton ko khalwat kam pad jati hai ek din yun hota hai khush rahte rahte khush rahne ki aadat kam pad jati hai zinda rahne ka nashsha hi aisa hai kitni bhi ho muddat kam pad jati hai kashif-'ghaer' dil ka qarz chukane mein duniya bhar ki daulat kam pad jati hai