junun ki rakh se manzil mein rang kya aae mata-e-dard to hum rah mein luta aae wo gard udai kisi ne ki sans ghutne lagi hate ye rah se diwar to hawa aae kisi maqam-e-tamanna se jab bhi palte hain hamare samne apne hi naqsh-e-pa aae numu ke bojh se shakhen na tut jaen kahin tum aao to koi ghuncha khile saba aae ye dil ki pyas ye duniya ke fasle 'baqi' bahut qarib se ab to koi sada aae