ek din khwab-nagar jaana hai aur yunhi khak-basar jaana hai umr bhar ki ye jo hai be-khwabi ye usi khwab ka harjaana hai ghar se kis waqt chale the hum log khair ab kaun sa ghar jaana hai maut ki pahli alamat sahib yahi ehsas ka mar jaana hai kisi taqrib-e-judai ke baghair thik hai jao agar jaana hai shor ki dhul mein gum galiyon se dil ko chup-chap guzar jaana hai