shafaq ka nur bhi rah rang-e-aftab mein aa nazar bacha ke kabhi wadi-e-gulab mein aa waraq waraq na pareshan rah hawaon mein huruf-e-arz-e-tamanna hai to kitab mein aa chamakte zarron mein bahta hua samundar hai hai tujh ko shauq-e-tajassus to phir sarab mein aa khutut hi ke wasile se main padhun tujh ko kabhi sawal ki surat kabhi jawab mein aa mere gunah mein shamil raha hai tu bhi 'asad' nibhane ahd-e-wafa ab mere azab mein aa