ek din tamam farz ada kar diye gae sare asir-e-zat riha kar diye gae wo hi to gham-gusar hamare the shahr mein sunte hain ab ke wo bhi khuda kar diye gae do dil kisi bhi tarah na jab ho sake alag do nam hi waraq pe juda kar diye gae wo furqaton ke din the wo waqt-e-uruj tha kitne hi zakhm dil ko kama kar diye gae sham-e-siyah bas apna sa munh le ke rah gai sare charagh nazr-e-hawa kar diye gae kuchh gham-nasib ishq the kuchh gham-nasib zist kuchh gham mizaj-e-dil pe ata kar diye gae darkar ho gaya tha kahani mein kuchh naya hum log is liye bhi juda kar diye gae ek chehra-e-hasin mitane ki zid thi aur aankhon ke sare rang fana kar diye gae kuchh roz baad ho gae jab khugar-e-qafas chupke se sab parinde riha kar diye gae