wo khwab jaisa tha goya sarab lagta tha hasin aisa ki fakhr-e-gulab lagta tha halim aisa ki diwani ek duniya thi ki us se hath milana sawab lagta tha nibhana rishton ka nazuk kathin amal nikla jo dekhne mein to sidha hisab lagta tha surahi-dar thi gardan nasha bhare aariz sarapa us ka mujassam sharab lagta tha wo bolta to faza naghmagi mein rach jati gale mein ho koi us ke rabab lagta tha kahani ek nai deti hont ki jumbish wo lab jo kholta goya kitab lagta tha wo shakhs aaj gurezan hai sae se mere jise pasina bhi mera gulab lagta tha amal mein feal mein us ke tazad tha 'mufti' agarche dil mein utarta khitab lagta tha