ek din wasl se apne mujhe tum shad karo phir meri jaan jo kuchh chaho so be-dad karo gar kisi ghair ko farmaoge tab jaanoge we hamin hain ki baja lawen jo irshad karo ab to viran kiye jate ho tarab-khana-e-dil aah kya jaane kab aa phir ise aabaad karo yaad mein us qad o rukhsar ke ai gham-zadagan ja ke tuk bagh mein sair-e-gul-o-shamshad karo le ke dil chaho ki phir dewe wo dilbar malum kaise hi nala karo kaisi hi fariyaad karo surma-e-dida-e-ushshaq hai ye ai khuban apne kuche se meri khak na barbaad karo dekh kar tair-e-dil aap ko bhula parwaz khwah paband karo khwah use aazad karo aap ki chah se chahen hain mujhe sab warna kaun phir yaad kare tum na agar yaad karo sham-e-afrokhta jab bazm mein dekho yaro haal-e-'bedar'-e-jigar-sokhta wan yaad karo