faqat qaziya yahi hai fann-e-tabi aur ilahi mein jo ilm-e-marifat chahe to rah yaad-e-ilahi mein samajhta hai usi ka jalwa-gah ghaib-e-shahadat ko nahin kuchh farq aarif ko safedi o siyahi mein nahin aaram mujh ko iztirab-e-dil se sine mein ki dariya muztarib hota hai betabi-e-mahi mein na kar maston se kawish har ghadi aaman kahta hun khalal aa jaega zahid teri ismat-panahi mein jaga kar khwab-e-asaish se 'bedar' aah hasti mein adam-asudgan ko la ke dala hai tabahi mein jo kaifiyyat hai masti se teri aankhon ki lali mein nahin wo nashsha-e-rangin sharab-e-portugali mein sar-o-barg-e-khushi ai gul-badan tujh bin kahan mujh ko gulistan-e-dil aaya fauj-e-gham ki paemali mein dur-e-dandan hue the maujzan kis bahr-e-khubi ke ki moti sharm se pani hue silk-e-laali mein jahan wo shakkarin-lab guftugu mein aawe ai tuti sukhan sarsabz tera kab ho wan shirin-maqali mein abas hai aarzu-e-khush-dili 'bedar' gardun se mai-e-rahat jo chahe so kahan is jam-e-khali mein