ek din zaban sukut ki puri banaunga

ek din zaban sukut ki puri banaunga
main guftugu ko ghair-zaruri banaunga

taswir mein banaunga donon ke hath aur
donon mein ek hath ki duri banaunga

muddat samet jumla zawabit hon tai-shuda
yani talluqat uburi banaunga

tujh ko khabar na hogi ki main aas-pas hun
is bar haziri ko huzuri banaunga

rangon pe ikhtiyar agar mil saka kabhi
teri siyah putliyan bhuri banaunga

jari hai apni zat pe tahqiq aaj-kal
main bhi khala pe ek theory banaunga

main chah kar wo shakl mukammal na kar saka
us ko bhi lag raha tha adhuri banaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close