ek diya jal raha hai hawa tez hai dil magar kanpta hai hawa tez hai aarizon ke par pankh kya ho gae shauq mahw-e-dua hai hawa tez hai ek jhonke mein khushbu kahan ud gai kaun sa gul khila hai hawa tez hai dasht-dar-dasht udti hui khak mein zindagi lapata hai hawa tez hai kah rahi hain samundar key khamoshiyan mere sine mein kya hai hawa tez hai mast hathi se baadal kahan kho gae chiyuntiyon si ghata hai hawa tez hai kaun rota hai waqt-e-sahar dil dukha ek sisakti sada hai hawa tez hai kya wo aaya ki zanjir hilne lagi ya mera wahima hai hawa tez hai is bulandi se guzre to aisa laga kya khuli si faza hai hawa tez hai hum kahan ja rahe hain zamin chhod kar ye safar kaun sa hai hawa tez hai