dua-e-dast-e-fazilat se sar ki raunaq hai hamare ghar ke buzurgon se ghar ki raunaq hai dar-o-diwar se kilkariyan nikalti huin abhi bhi sahn mein budhe shajar ki raunaq hai hari-bhari hai ye chaukhat kisi ke qadmon se hamari nim-shabi bhi sahar ki raunaq hai zamana dekh chuka hai jalal suraj ka ye sham surma-e-nur-e-nazar ki raunaq hai wo apne lutf se mitti mein jaan dalta hai ye chaak-e-husn-e-jahan kuza-gar ki raunaq hai sukut-e-shab bhi abhi tak muraqabe mein hai hamari chhat kisi gard-e-safar ki raunaq hai ye bistare key hararat ye dolti zanjir kiwad tohfa-e-bab-e-asar ki raunaq hai