ek diye ki lau kaf-e-sad-aina chamka gai raushni ki ek kiran mahtab ko sharma gai hath malta din kisi ummid par muntaj hua khastagi badhti hui diwar-e-shab tak aa gai ashk-shoi ke liye teri himayat chahiye dekh teri ham-subui mein ye naubat aa gai uzr-khwahana nigahen harf chunti rah gain baz-pursan khamushi apni kahi manwa gai kab talak ye aalam-e-dil-bastagi dil-khastagi dhadkanon ko ye mashaqqat ho na ho ras aa gai shab teri taswir ka bosa liya aur yak-ba-yak ek nami si thi ki aks-o-aina dhundla gai dil ki haalat ko agar tabir kije ishq se manzilon ke pher mein phir fahm dhoka kha gai shairi sharma rahi hai aaj us ko dekh kar zindagi ek khubsurat aadmi ko kha gai ye nahin rahne ki jae chashm-e-hairan yan se chal darshani jalwon ki basti mein nazar chundhiya gai