guzarti hai jo hum par raftagan hum kuchh nahin kahte tumhein aa kar sunaenge yahan hum kuchh nahin karte hamari khamushi ke bhi kai mafhum hote hain wahan bhi kuchh to kahte hain jahan hum kuchh nahin kahte zamin ke dukh sunate hain zamin ki baat karte hain kabhi apne liye ai aasman hum kuchh nahin kahte kabhi dil se guzarti ho kahin aankhon se bahti ho tujhe phir bhi kabhi ju-e-rawan hum kuchh nahin kahte andhere se maza aata hai kuchh takrar karne mein tujhe to ai charagh-e-nim-jaan hum kuchh nahin kahte