ek do ashk-e-nadamat nahin paida karte

ek do ashk-e-nadamat nahin paida karte
pahli hi bar kahan ghas hari aati hai

sochta hun ki kise dekhun kise na dekhun
nind aankhon pe kai khwab dhari aati hai

ishq ki aag pe ye tel chhidakti hai miyan
khushk aankhon se jo ashkon ki ladi aati hai

ashk jo chand ke chehre pe bhi girte hain kabhi
zindagi ek tasawwur se jila pati hai

khushk mausam ka jo ek bar kiya tha shikwa
tab se milne mujhe har sal murree aati hai

pahle ek umr paristan ki galiyan napin
phir mere hath mein jadu ki chhadi aati hai

ho to sakti hai mayassar mujhe khilat 'musa'
kya karun bich mein daryuza-gari aati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close