jis tarah sang mein shahkar bhi rah sakte hain

jis tarah sang mein shahkar bhi rah sakte hain
us tarah hum pas-e-diwar bhi rah sakte hain

tere aane se khushi laut bhi sakti hai magar
aur kuchh hijr ke aasar bhi rah sakte hain

adliya adl ke mear se gir sakti hai
qaid mein sahib-e-kirdar bhi rah sakte hain

hum faqiron mein kahan hai koi tafriq ki baat
hum faqiron mein to sardar bhi rah sakte hain

kuchh ghadi dur to rah meri tadap ki khatir
warna hum qurb se bezar bhi rah sakte hain

ye siyasat hai yahan sab ko jagah milti hai
maulwi fauji-o-fankar bhi rah sakte hain

aap chahen to hamein chhod den chalte chalte
aap chahen to wafadar bhi rah sakte hain

ye zaruri to nahin samne aa kar khelen
kuchh khiladi pas-e-darbar bhi rah sakte hain

dekhne walon ne mahdud kiya hai 'musa'
warna hum tur ke us par bhi rah sakte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close