ek duje ko der se samjha der se yari ki hum donon ne ek mohabbat bari bari ki khud par hansne walon mein hum khud bhi shamil the hum ne bhi ji bhar kar apni dil-azari ki ek aansu ne dho dali hai dil ki sari mail ek diye ne kat ke rakh di gahri tariki dil ne khud israr kya ek mumkina hijrat par hum ne is majburi mein bhi khud-mukhtari ki chauda baras ke hijr ko im-shab rukhsat karna hai sara din so so kar jagne ki tayyari ki hum bhi isi duniya ke basi the so hum ne bhi duniya walon se thodi si duniya-dari ki 'anjum' hum ushshaq mein uncha darja rakhte hain be-shak ishq ne aisi koi sanad na jari ki