falak-nazhad sahi sar-nigun zamin pe tha main jabin khak pe thi aur meri jabin pe tha main gundhi padi thi meri khak khal-o-khad ke baghair abhi humakta hua chaak-e-awwalin pe tha main ye tab ki baat hai jab kun nahin kaha gaya tha kahin kahin pe khuda tha kahin kahin pe tha main naya naya main nikala hua tha jannat se zamin banai gai jin dinon yahin pe tha main khuda ka hukm baja bad-gumani apni jagah ghalat na tha mera inkar is yaqin pe tha main khuda ke jhagde mein aakhir dimagh haar gaya ki dil sabaat mein tha aur nahin nahin pe tha main