ek ehsas-e-ziyan chhoDega

ek ehsas-e-ziyan chhodega
hijr hai ye to nishan chhodega

ya bulaega sar-e-dasht-e-bala
ya sar-e-nok-e-sinan chhodega

pahle raste se uthaega yaqin
aur phir us pe guman chhodega

main bhi bolunga bahut bolunga
khauf jab meri zaban chhodega

jaanta hun ki wo chhodega zarur
dekhna hai ki kahan chhodega

shahryari na thi tere bas mein
main na kahta tha miyan chhodega

jo riwayat hai wo puri hogi
ishq mujh ko bhi kahan chhodega

main hi 'ausaf' likhunga anjam
ye kahani wo jahan chhodega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close