ek ek kar ke so gae gham-KHwar raat ko

ek ek kar ke so gae gham-khwar raat ko
ye harf-e-nur hi rahe bedar raat ko

din ko ye barg-o-shakh khamoshi ki barf hain
dekho to in ki garmi-e-guftar raat ko

ek roz us ke gesu-e-mushkin ko chhu liya
ugte hain aas-pas saman-zar raat ko

mumkin kahan ki so sakun pal-bhar ke waste
hota hai kya se kya pas-e-diwar raat ko

din ko thapede maujon ke kha kha ke so gae
ek lams-e-mah se hue bedar raat ko

un ko haqir sae samajh ke na tal do
phirte hain raushni ke talab-gar raat ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close