gharon mein shor-e-munajat be-sabab to nahin

gharon mein shor-e-munajat be-sabab to nahin
kahin wo rahib-e-sad-sala jaan-balab to nahin

charagh le ke gharon se nikalte hain chup-chap
samajh raha hun jise din wo nim-shab to nahin

use bhi bazm se uthwate hain qayamat hai
unhen bhi 'ilm hai haq-go hai be-adab to nahin

badan ke zakhm sitaron ki tarh raushan hain
kahan sidhaarun yahi hasil-e-talab to nahin

main us ke sath safar mein hun ek zamane se
mere khuda ye sahar-na-shanas shab to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close