ek ek lafz mein kai pahlu kahan se aae jaanan tere sukhan mein ye jadu kahan se aae jab tirgi mein chand sitare bhi gum hue palkon ke shamiyane mein jugnu kahan se aae suljha raha tha pech-o-kham-e-zindagi magar hathon mein yak-ba-yak tere gesu kahan se aae shikwa nahin hai tujh se ki is rahguzar mein sae na sath aae to phir tu kahan se aae uljhan tamam umr yahi thi ki zist mein aae kahan se rang ki khushbu kahan se aae sahra ki tarah khushk thi phir us ke lams se be-ikhtiyar aankh mein aansu kahan se aae