kya hua rangini-e-subh-o-masa baqi nahin apne hi ghar mein wo pahli si faza baqi nahin aarzuon ka koi bhi silsila baqi nahin masala ye hai ki koi masala baqi nahin aa gaya hai ab sawa neze pe dekho aaftab apna saya bhi zamin par zer-e-pa baqi nahin manzilen aawaz deti hain ki hum hain muntazir qafile walon mein lekin hausle baqi nahin be-mahaba us ke aane ka natija ye hua aaina-khane mein koi aaina baqi nahin kitni mashshaqi se us ne saf do tukde kiye jism mein ab ek bhi tasma laga baqi nahin hum to chhod aae the gahre naqsh rahon mein 'habab' wae-hasrat ek bhi ab naqsh-e-pa baqi nahin