ek ek mauj ko sone ki qaba deti hai sham suraj ko samundar mein chhupa deti hai ek chehra mujhe rozana sukun deta hai ek taswir mujhe roz rula deti hai aib shohrat mein nahin is ka nasha qatil hai ye hawa kitne charaghon ko bujha deti hai log aate hain thaharte hain guzar jate hain ye zamin khud hi guzargah bana deti hai kisi chehre mein nazar aata hai koi chehra koi surat kisi surat ka pata deti hai nil mein rasta banna to hai dushwar magar meri ghairat mere hathon mein asa deti hai