ek ek pal tera nayab bhi ho sakta hai hausla ho to zafar-yab bhi ho sakta hai biphri maujon se ulajhne ka saliqa hai agar ye samundar kabhi payab bhi ho sakta hai umr tapte hue sahra mein basar ki jis ne to sarabon se wo sairab bhi ho sakta hai aap dariya ki rawani se na uljhen hargiz tah mein us ke koi girdab bhi ho sakta hai lakh moti hi sahi waqt ki gardish mein kabhi qimti kitna ho be-ab bhi ho sakta hai jis ko majbur hua hai to khurachne pe 'zafar' teri aankhon ka hasin khwab bhi ho sakta hai