abhi to karna padega safar dobara mujhe abhi karen nahin aaram ka ishaara mujhe lahu mein aaega tufan-e-tund raat-ba-raat karegi mauj-e-bala-khez para-para mujhe bujha nahin mere andar ka aaftab abhi jala ke khak karega yahi sharara mujhe utar phenkta main bhi ye tar-tar badan asir-e-khak hun karna pada guzara mujhe ude wo gard ki main chaar-su bikhar jaun ghubar mein nazar aae na koi chaara mujhe mere hudud mein hai mere aas-pas ki dhund raha ye shahr to is ka nahin ijara mujhe sahar hui to bahut der tak dikhai diya ghurub hoti hui raat ka kinara mujhe meri faza mein hai tartib-e-kaenat kuchh aur ajab nahin jo tera chand hai sitara mujhe na chhu sakun jise kya us ka dekhna bhi 'zafar' bhala laga na kabhi dur ka nazara mujhe