ek fana ke ghat utra ek pagal ho gaya yani mansuba zamane ka mukammal ho gaya jism ke barfab mein aankhen chamakti hain abhi kaun kahta hai ki us ka hausla shal ho gaya zehn par be-samtiyon ki barishen itni huin ye ilaqa to ghane raston ka jangal ho gaya is kalid-e-ism-e-na-malum se kaise khule dil ka darwaza ki andar se muqaffal ho gaya shoala-zar-e-gul se guzre to sar-e-aghaz hi ek sharar aankhon se utra khun mein hal ho gaya shahr-e-ainda ka dariya hai giraft-e-reg mein bas ki jo hona hai us ka faisla kal ho gaya mausam-e-takhir-e-gul aata hai kis ke nam par kaun hai jis ka lahu is khak mein hal ho gaya is qadar khwabon ko masla pa-e-ahan-posh ne shauq ka aain bil-akhir moattal ho gaya