har manzar-e-khush-rang sulag jae to kya ho shabnam bhi agar aag hi barsae to kya ho ehsas ki qindil se azhan hain raushan lekin ye ujala bhi jo kajlae to kya ho suraj ki tamazat se jhulas jati hai duniya suraj mere qadmon pe utar aae to kya ho zar-tabi-e-afkar to pahle hi se hai mand alfaz ka aaina bhi dhundlae to kya ho main jab bhi likhun waqt ke khun-rez fasane hathon main qalam chhut ke rah jae to kya ho be-khwab nigahon ke ufaq par jo aachanak dhundla sa koi chand ubhar aae to kya ho