ek faqat khud se gila baqi raha warna is dil mein to kya baqi raha ek taraf teri kami khalti rahi ek taraf apna khala baqi raha rah ki aasaniyan jati rahin manzilon ka marhala baqi raha zindagi-dar-zindagi chalti rahi masala-dar-masala baqi raha hum had-e-idrak se majbur the hum se jo tha mawara baqi raha ho rahenge hum bhi us ke ek din han agar dil mein khuda baqi raha shahr-e-dil ke ba-wafa jab kho gae aakhirash ek be-wafa baqi raha dil se teri yaad bhi rukhsat hui aur ab kya moajiza baqi raha ai dil-e-nakaam kuchh to kar guzar ya abhi kuchh sochna baqi raha