ghair ke sath kabhi zikr hamara na karen hum ko bad-nam karen ishq ko ruswa na karen dil ye kahta hai muqaddar hai pareshan rahna aql kahti hai ki hum zulf ka sauda na karen kya zarurat hai bala un ki sanware gesu ek nazar dekh len jis ko use diwana karen kya nahin jaante hum rang-e-talawwun un ka mehrban paen bhi to arz-e-tamanna na karen 'bekhud'-e-zar ko ab dekh ke jhuk jati hain wo nigahen jo kabhi pas kisi ka na karen