ek gardish-e-mudam bhi taqdir mein rahi gard-e-safar bhi panw ki zanjir mein rahi khwabon ke intikhab mein kya chuk ho gai har bar ek shikastagi tabir mein rahi rangon ka tal-mel bahut khub tha magar phir bhi koi kami teri taswir mein rahi chaaragaron se dard ka darman na ho saka allah jaane kya kami tadbir mein rahi kuchh der tak to zakhm se uljhi rahi dawa kuchh der tak to dard ki tasir mein rahi qatil ne sare dagh to pani se dho diye taza lahu ki bu jo thi shamshir mein rahi shoala-bayani go mera tarz-e-sukhan nahin ek aanch si magar meri tahrir mein rahi