charagh bujhne lage aur chhai tariki chuka raha tha main qimat hawa se yari ki tu soch bhi nahin sakta jis ehtimam ke sath kate shajar pe parindon ne aah-o-zari ki wo jis ka ishq mera juzw-e-ruh ban gaya tha usi ne mujh se mohabbat bhi ikhtiyari ki tumhaara wajd mein aana faqat dikhawa tha wo kaifiyat hi nahin thi jo khud pe tari ki tumhaare shahr ki hurmat ka pas rakhte hue adu koi na banaya sabhi se yari ki jahan khuda ki azan ho rahi ho git ki nazr sunega kaun wahan par sada bhikari ki