ek ghair ki mahfil se uthaya nahin jata ek main ki kabhi sath bithaya nahin jata sunne ko to raazi hain wo haal-e-dil-e-betab afsos mujhi se ye sunaya nahin jata is zoaf-o-naqahat ka bura ho ki shab-e-wasl wo pas hain aur hath lagaya nahin jata tum dekh ke mujh ko to gira dete the parda munh samne ghairon ke chhupaya nahin jata jis roz se aghyar ne bhadkaya hai un ko main bazm mein us din se bulaya nahin jata khat ghair ka bheja hai mujhe yar ne qasid qismat ka likha sach hai mitaya nahin jata gham-dost wo hun meri tasalli nahin hoti jab tak ki main ji bhar ke sataya nahin jata le le ke mera nam diya karte hain gali main dil se kabhi un ko bhulaya nahin jata aankhen to milate hain ghazabnak wo ho kar afsos hai dil un se milaya nahin jata ab zabt-e-fughan ka nahin yara mujhe hargiz raaz-e-dil-e-betab chhupaya nahin jata allah re nazakat ki mere qatl pe 'nashtar' us shokh se khanjar bhi uthaya nahin jata