dard wo tu ne diya jis ka mudawa na hua tera bimar masiha se bhi achchha na hua aap hi kahiye ki ye ghamza-e-be-ja na hua mujh se parda hua aur ghair se parda na hua be-murawwat na sahi aap magar ye kya hai mujh se parda hua aur ghair se parda na hua aap ki sharm bhi duniya se nirali nikli mujh se parda hua aur ghair se parda na hua tu tadap apni dikhane to chala hai ai dil aur wo shokh agar mahw-e-tamasha na hua dekhte hi mujhe barsana ye patthar kaisa tera aashiq na hua main koi diwana hua wo shab-e-wasl bhi aae to chadhae tewar bakht-bargashta mera aaj bhi sidha na hua mere hisse ka na saqi ne bhara jam ab tak aur labrez yahan umr ka paimana hua hur ho is but-e-raana ke muqabil tauba waizo tum ko ata dida-e-bina na hua hans pada chupke se wo ghuncha-dahan kuchh kah kar aisa ye wasl ka wada hua goya na hua haif-sad-haif ki rahm aa hi gaya qatil ko na hua shauq-e-shahadat mera pura na hua hath aaya na kabhi wo gul-e-nakhl-e-khubi kabhi sarsabz mera bagh-e-tamanna na hua qabil-e-zikr thi kis din na meri ruswai yar ki bazm mein kis din mera charcha na hua bakht chamka na kabhi mere siyah-khane ka mera mehman kabhi wo but-e-raana na hua aankh utha kar bhi na dekha mere lashe ki taraf us sitamgar se itna bhi to dekha na hua chashm-e-saqi ka tasawwur hua rahbar mera jab rawana kabhi main jaanib-e-mai-khana hua sakht-jaani ne meri mujh ko kiya kya nadim hausla yar ki talwar ka pura na hua lakh mara kiya sar khanjar-e-qatil 'nashtar' sakht-jaani ka meri baal bhi bika na hua