ek ghazal us pe likhun dil ka taqaza hai bahut

ek ghazal us pe likhun dil ka taqaza hai bahut
in dinon khud se bichhad jaane ka dhadka hai bahut

raat ho din ho ki ghaflat ho ki bedari ho
us ko dekha to nahin hai use socha hai bahut

tishnagi ke bhi maqamat hain kya kya yani
kabhi dariya nahin kafi kabhi qatra hai bahut

mere hathon ki lakiron ke izafe hain gawah
main ne patthar ki tarah khud ko tarasha hai bahut

koi aaya hai zarur aur yahan thahra bhi hai
ghar ki dahliz pe ai 'nur' ujala hai bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close