ek guman ka haal hai aur faqat guman mein hai kis ne azab-e-jaan saha kaun azab-e-jaan mein hai lamha-ba-lamha dam-ba-dam aan-ba-an ram-ba-ram main bhi guzishtagan mein hun tu bhi guzishtagan mein hai aadam-o-zat-o-kibriya karb mein hain juda juda kya kahun un ka majra jo bhi hai imtihan mein hai shakh se ud gaya parind hai dil-e-sham-e-dard-mand sahn mein hai malal sa huzn sa aasman mein hai khud mein bhi be-aman hun main tujh mein bhi be-aman hun main kaun sahega us ka gham wo jo meri aman mein hai kaisa hisab kya hisab haalat-e-haal hai azab zakhm nafas nafas mein hai zahr zaman zaman mein hai us ka firaq bhi ziyan us ka visal bhi ziyan ek ajib kashmakash halqa-e-be-dilan mein hai bud-o-nabud ka hisab main nahin jaanta magar sare wajud ki nahin mere adam ki han mein hai