tum ne kiya hai tum ne ishaara bahut ghalat dariya bahut durust kinara bahut ghalat is haar mein hai hath tumhaara bahut ghalat tum ne kiya hai faisla sara bahut ghalat hum dub jaen apne hi gham ke bahao mein han han ghalat ghalat mere yara bahut ghalat is kisht-e-dil se is ke dil-e-reg-zar tak bahne laga hai khun ka dhaara bahut ghalat afsos mujh ko is pe saza hijr ki mili main ne likha tha nam tumhaara bahut ghalat maidan mein ek fard bhi zinda na mil saka shab-khun us ne aakhiri mara bahut ghalat hum hain zamin ke log magar dekh ai falak leta hai imtihan tu hamara bahut ghalat hoga kisi to roz tumhaara hisab bhi tum ne kisi gharib ko mara bahut ghalat waqif tha apne ishq ke anjam se magar phir bhi kisi pe jaan ko wara bahut ghalat hum dil-zadon ke waste ye shab hi thik hai nikla hai shab ka aakhiri tara bahut ghalat afsos ai 'nabil' ye tum ne samajh liya dil ko bhi jal bujha sa sharara bahut ghalat chehra sadaqaton ka hua maskh ai 'nabil' us ne bahaya jhut ka dhaara bahut ghalat