ek hangama shab-o-roz bapa rahta hai khana-e-dil mein nihan jaise khuda rahta hai mere andar hi koi jang chhadi hai shayad mere andar hi koi dasht-e-bala rahta hai jab bhi nazdik se mahsus kiya hai khud ko main ne dekha hai koi mujh se khafa rahta hai hum to aabaad jaziron se guzar jate hain aur phir dur talak ek khala rahta hai khamushi ka pas-e-diwar-e-junun hai saya is taraf silsila-e-ah-o-buka rahta hai