main jo bad-hawas tha mahw-e-qayas tum bhi the bichhadte waqt zara sa udas tum bhi the badalte waqt ka manzar tha sab ki aankhon mein misal main tha agar iqtibas tum bhi the mujhe to dar mila tum ko kaise takht mila suna hai meri tarah haq-shanas tum bhi the tumhaare hont se khushiyan chhalak gain kaise uthae hath mein khali gilas tum bhi the akela-pan pe kai sher kah diye main ne ye aur baat mere aas pas tum bhi the