ek hasin daur se guzra tha kabhi yaad na kar kaam himmat se liye ja ise barbaad na kar aazma zabt-o-fughan nala-o-fariyaad na kar yaad-e-mazi se dil-e-khasta ko aabaad na kar hum ne mana ki sitam tujh pe hua hai lekin dil-e-betab ko sharminda-e-faryaad na kar hon bahana tujhe aansu to saliqe se baha aise nayab guhar muft mein barbaad na kar ai 'asad' ho na asar waqt ke bahkane ka ab kisi aur ko dil mein kabhi aabaad na kar