gham-e-zist hum se liya jae na bina gham bhi lekin jiya jae na teri mast aankhon ne bakhsha surur ki ab mai ka pyala piya jae na inayat hai ghairon pe har dam teri sitam bhi to hum par kiya jae na karam chahta hun faqat tujh se main sahaara kisi ka liya jae na diye zakhm yaadon ne dil par bahut jawab hum se lekin diya jae na 'asad' aap ki hai nirali ada ki dushman ko bhi dam diya jae na