ek hasin khwab jo aankhon mein basa hai wo hai mujh se tanhai mein jo bol raha hai wo hai jab kabhi main ne padhi umr-e-guzishta ki kitab ek saya sa jo aahat pe ruka hai wo hai zindagi ne to kabhi kuchh na diya gham ke siwa ishq ne mujh ko jo ek rup diya hai wo hai meri qismat ke sitare hain usi se raushan chand ban kar jo mere dil mein chhupa hai wo hai main wo ek jhil ki jis ki koi manzil hi nahin dur tak sath jo mere hi baha hai wo hai chhod ke mujh ko sabhi laut gae aakhir-e-shab sans ban kar jo mere dil mein ruka hai wo hai ban ke ummid jo chamka tha wahi tha 'anjum' aur abhi dard sa jo dil mein utha hai wo hai