ek hasin paikar-e-taslim-o-raza ho jaise ek tum dushman-e-arbab-e-wafa ho jaise yun mujhe un ki inayat ka khayal aata hai ek afsana kabhi main ne padha ho jaise zindagi itni giran-bar nazar aati hai ek mujrim ke liye koi saza ho jaise dil ke goshe mein tamannaon ki fariyaaden hain ya kahin raat gae shor utha ho jaise aise be-gana-e-haalat wo rahte hain 'rafia' kuchh kiya ho na kaha ho na suna ho jaise