iKHlas ki qadron ka sawali hai to la hath

ikhlas ki qadron ka sawali hai to la hath
hum log isi shahr ke basi hain mila hath

logon ne sukun dhund liya shahr mein ja kar
hum dhundne jate hain to aati hai bala hath

dariya ke talatum se tadapne ki ada sikh
jina hai to manjdhaar ke andar bhi hila hath

rukhsat hui firaun ke mahlon se khudai
nikla jo gareban se ek nur bhara hath

jine ki tamanna thi ki tha aakhiri paigham
aata tha nazar dubne wale ka utha hath

lagta hai ki mabain hai milon ki masafat
tha us ka mera fasla bas hath sawa hath

tashkik ke girdab dubote hain ilahi
dhunde hai tere hath ko aise mein mera hath

'anjum' yahan saf-ara hain jadui sanpole
jina hai to kar sehr-shikan ek asa hath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close