ek hath pe aankhen rakkhi hain ek hath pe chehra hota hai har gam madari baithe hain har waqt tamasha hota hai ab kaun yahan majzub nahin bazar mein kya maujud nahin irfan ki mala bikti hai ilham ka sauda hota hai apni khalwat mein dhyan kahan khamoshi hai wijdan kahan ek aandhi khak udati hai ek aag ka dariya hota hai dil bahr saman aankhen raushan par rahguzar bhi to dekho ek tang-nazar ki badli ne andher machaya hota hai kal jhum ke boli kenchuli-e-ilhad aqide ke man se ai rind tujhe do munhon ne kya jam pilaya hota hai har but ke aage sajde par zindiqi ko majbur na kar ye jehl-e-maraatib aakhir kis kafir ko gawara hota hai hum log pasheman fitrat hain diwanon ki kab sunte hain aankhon wale padh sakte hain diwar pe likkha hota hai