go tar-e-ankabut aaya nahin ab tak gumanon mein magar kuchh makdiyon ki sarsarahat si hai kanon mein zamin-zadon ko ab mitti se to wabasta rahne do khudara fasl-e-nau ka zauq rahne do kisanon mein saron se aasman bhi kya hataya jaane wala hai shabihen mehr-o-mah ki tankte ho kyon makanon mein zara thahro ugegi bhuk bhi kaghaz ke pedon par abhi to hath bante ja rahe hain baghbanon mein bahut mumkin hai patthar ke zamane ke nazar aao agar paida kiya jae tumhein pichhle zamanon mein na panje hain na par hain aur na hai parwaz ki taqat jo naghma-sanj hona ho to luknat hai zabanon mein chala aata hai basti mein liye zambil fatwon ki tu aisa kar basera kar pahadon ki chatanon mein