ek hawa sa mere sine se mera yar gaya zinda karne mujhe aaya tha magar mar gaya ab to ye jism bhi jata nazar aata hai mujhe ishq ab chhod meri jaan ki main haar gaya int gare ka bas ek dher bana baitha hun zer-e-tamir mujhe chhod ke meamar gaya ghar ko wapas kabhi jata nahin dekha gaya wo sab ne jis shakhs ko dekha tha ki bazar gaya raste mein kahin nind aa gai hogi shayad is safar mein to mera dida-e-bedar gaya aaj ek husn ne bheje the sipahi apne farhat-ehsas mohabbat mein giraftar gaya