kisi surat sahar nahin hoti raat idhar se udhar nahin hoti khauf sayyaad se na barq ka dar baat ye apne ghar nahin hoti ek wo hain ki roz aate hain ek hum hain khabar nahin hoti ab main samjha hun kat kar shab-e-gham zindagi mukhtasar nahin hoti kitni paband-e-waza hai shab-e-gham kabhi ghairon ke ghar nahin hoti kitni sidhi hai rah-e-mulk-e-adam hajat-e-rahbar nahin hoti sun liya hoga tum ne haal-e-mariz ab dawa kargar nahin hoti arsh milta hai meri aahon se lekin un ko khabar nahin hoti