ek hi dasht tha wo bhi na khangala main ne dil pe lena nahin tha panw ka chhaala main ne ghar ke dah jaane mein ghaflat meri shamil thi magar sara malba dar-o-diwar pe dala main ne kash main apne aza-daron ko batla sakta kaisa dukh tha wo jise maut se tala main ne aakhir-e-kar ghulami se baghawat kar di aur zanjir ko shamshir mein dhaala main ne yun to har shakhs yahan aankh liye phirta hai par nahin dekha koi dekhne wala main ne aur phir ek roz hamesha ke liye kho gaya main yani ek roz use dhund nikala main ne