ghubar sa hai sar-e-shakh-sar kahte hain chala hai qafila-e-nau-bahaar kahte hain badal gai hain jahan par wafa ki sab rasmen ujad gae hain dilon ke dayar kahte hain is ek baat se gulchin ka dil dhadakta hai ki hum saba se hadis-e-bahaar kahte hain ye hajw-e-mai to kisi maslahat se hai warna faqih-e-shahr bhi hai baada-khwar kahte hain jise kabhi sar-e-mimbar na kah saka waiz wo baat ahl-e-junun zer-e-dar kahte hain 'salim' saya-e-gul ho ki sakhti-e-zindan junun hai shewa-e-mardan-e-kar kahte hain