ek hi man ki sab auladen mano jhagda karti hain shahr-e-dil ki galiyon mein jab yaaden khela karti hain dard yakayak tham jata hai madhoshi chha jati hai sansen nikal jab mere badan se tujh ko chuma karti hain suraj chand kinare sagar bechaini ke mare hain kis ki bechaini mein lahren karwat badla karti hain dekhne wale chhod gae sab apni nazren manzar pe yani hum sab ki aankhen bas manzar maila karti hain rit-riwaj alag ulfat ke kaun khuda ye kaun kahe donon pujaran apne apne das ki puja karti hain